Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon Ki Fazilat

admin

Updated on:

Qarz Se Nijat Ka Wazifa - Qarz Ki Dua

Inna lillahi wa inna ilayhi rajioon إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ‎ . Quran Pak ki suarah AL-BAQRA ki ayat number 156 ka aik juz hai. Ham sirf us waqat parhte hain jab koi itiqal kar jata hai. Lekin kia aap jante hain ke ye ayat aur kis moqa par parha jati hai?.

Agar nahi jante to ham ap ko btate hain. Ke Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raji’un ke benefits kia kia hain. Aur kab kab parha jata hai. 

Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon

Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon Ki Fazilat  

Nabi Kareem (PUBH) ka farman hai. Jab bhi tmhain ko takleef pohncy. Tum inna lillahi wa inna ilayhi rajioon parha karo. Kiun ke is ki barkat se insaan ko pohnchne wali takeelf ke badle main. Allah tala bohat ajar atta farmta hai.

Issi liye jab aap ko koi takleef ya pareshani aye to app yeh ayat lazmi parha karain.

READ ALSO: Pain In Joints Of Body – Jodo Ka Dard

Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon Benefits

Iss Ayat ke Urdu meaning hain ” Ham Yaqeenan Allah Ke He Hain Aur Ham Yaqeenan Usi Ki Taraf  Laout Kar Jane Wale Hain“.  

Jab koi musalman intiqaal karta hai to ham inna lillah parhte hain. Lekin kia aap jante hain ke Iss Yat mubarka ke aur kia kia benefits hain?,  

Agar aap ki koi cheez gum ho jaye to aap agar Yehi Ayat mubarak parhte hain. Phir Allah Pak aap ko ya to wo cheez wapis de deta hai. Ya phir us ka mutbadil mil jata hai jo ke gum hone wali cheez se zayada behter hota hai.  

Iss ke ilawa agar aap par koi bimari ajye. Aur aap Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon parh lain. Tau Insha Allah aap ki bimari bohat jald sehat main badal jaye gi. Aur Allah Pak aap ko sehat e kamila atta farmaye ga.

Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon Ka Tarjuma

Ham Yaqeenan Allah Ke He Hain Aur Ham Yaqeenan Usi Ki Taraf  Laout Kar Jane Wale Hain

Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon Ka Wazifa

Agar koi shakhs rozana 100 bar yani ke aik tasbeeh iss ayat ka wazifa parhta hai. Tau Allah tala us ke imaan ko mazboot kar dete hain.  

Agar koi shakhs chahta hai Allah Pak mujhe logon ke ander izzatdar kare. Yani meri logon main bohat izzat ho. Aur sab log mujy izzt ki nigah se dekhen. Tau us ko chahye ke wo rozana 1 Tasbeeh Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raji’un ka wazifa parha kare.

Leave a Comment