Nad e Ali Wazifa for Hajat – Rajab Ka Wazifa

admin

Updated on:

Nad e Ali Wazifa for Hajat – Rajab Ka Wazifa. Aaj ham apke liye 13 rajab ka wazifa le kar aye hain. Jis ko nade ali ka wazifa bhi kaha jata hai. Yeh har hajat, mushkil ke liye bohat he mujarrab amal hai.

Nade Ali Wazifa for Hajat - Rajab Ka Wazifa

13 rajab ki shab aik aisi muqadas raat hai ke is raat shab bedari karne wale. Darood salam parhne wale. Nawafil ya tasbihaat karne wale ya dua e Ali jis ko Nad e Ali bhi kaha jata hai. Parhne wale afraad ko munh mangi muradain milti hain.

Ye koi aam baat nahi tajjurba karke dekhen Insha Allah aap ko bhi yaqeen ki manzil hasil hogi.

13 Rajab Ki Fazilat

13 Rajab ki fazilat o ehmiyat ki wajah zahoor e Mola Ali shere Khuda hai. Aur iss baat ko har musalman janta bhi hai aur samjhta bhi hai.

Duniya main mujood tamam muslim aur ghair muslim rohani mahir is baat ko tasleem bhi karte hain. Ke 13 Rajab ki shab main har dua qabool hoti hai.

Rajab ka mahina bohat he barkaton wala mahina hai. Iss mah main bohat sare Auliya karam ki padaish hoi. Iss ke ilawa khas kar 13 rajab ko Hazrat Ali RA ki padaish ka din bhi hai. 

Hazrat Ali RA Nabi Kareem SAW ke damad aur chaha zad bhai bhi they, Aap RA ki shadi Hazrat Fatima RA se hoi .

Wese to 13 rajab ki bohat fazilat hai aur zyadatar log iss din bohat se wazaif karte hain. Lekin 13 rajab ko aik khas wazifa prha jata hai jo ke khas 13 rajab ka wazifa kehlata hai. Iss wazifa ko nade ali ka wazifa for hajat bhi kaha jata hai.

13 Rajab Ki Shab Ka Waqat

Rajab ki 13 shab ka waqat 12 Rajab ko suraj ghroob hone ke bad shuru hota hai. Yeh waqat Allah ki bargah se apni har hajat hasil karne ka waqt hai. Lehaza 12 Rajab maghrib ki namaz ke bad. Jo shakhs bhi tasbeeh auliya parhta hai to usse us ki har hajat ghaib se hasil hoti hai.

Nad e Ali Ka Wazifa For Hajat

Is wazifa ke liye ap ne 100 danon wali tasbeeh hasil kar ke is tasbeeh ke har har daane par 1 martbah Darood e Ibrahimi, 3 bar Surah Ikhlas aur 1 martabh Dua e Nad e Ali parhni hai issi tarha aap puri aik tasbeeh muhabbat se parhain.

Iss Tasbeeh ko tasbeeh auliya bhi kaha jata hai. Aur aik bar tasbeeh auliya parhne se aap 100 bar Darood e Ibrahimi. 300 bar Surah Ikhlas. Aur 100 bar dua e Nade Ali parh pain gey.

Insha Allah 13 Rajab main is ki aik tasbeeh ki barkat se Allah ki zaat aap ko aap ki tamam hajtain aata farma dain gey.

Nad e Ali Ka Wazifa Se Kia Mile Ga

Buzurg farmate hain ke jo shakhs saal main aik bar yani 13 rajab ki shab main tasbeeh auliya parh leta hai. Us ko iss tabeeh ki barkat tamam saal hasil hoti rehti hain. Yani 13 rajab ki tasbeeh ki barkat se aap ki tamam mushkilat asan ho jain gi.

  • Be aulad sahib e aulad ho jain ge
  • Aap ko ghurbat tangdasti aur qarz se nijat mily gi
  • Betiyon ke liye acha rishta atta hoga
  • Mian bivi main mohabbat qaim hogi
  • Nafarman aulad farmabardar ho jaye gi
  • Dushman zair ho jain ge

13 Rajab ka wazifa ki barkat se Allah ki zaat aap ko behisab dolat se Insha Allah nawaz den ge. Aur issi 13 Rajab ka wazifa ki barkat se aap ki jaan, maal, aulad, izzat, karobar, sehat aur kamyabi, nazar e bad, kala jadu, jinnat, bandish aur har qisam ke nuqsanat se Allah ki hifazat main rahain gey.

Is liye koshish karain ke aap 13 Rajab ko tasbeeh auliya zaroor parhain. Jo barkat tasbeeh auliya ki hain wahi barkat zafrani Nad e Ali ki bhi hain.

Nad e Ali Ka Naqsh Ki Ehmiyat

13 Rajab ka naqash Nade Ali agar aap ke paas mujood hai. Aur aap ne adab se apne ghar main rakh liya to dono jahanon ki kamyabi ki kunji Insha Allah aap ke haat main hai.

Nad e Ali Ka Wazifa for Hajat Video Wazifa

Leave a Comment