Shaban Ka Jumma Mubarak Ka Wazifa

admin

Updated on:

Aaj ham apko mahe shaban ka jumma mubarak ka wazifa bateyn ge. Ye wazifa apne mahe shaban ke pehle jumma ko karna hai.

Shaban Ka Jumma Mubarak
Shaban Ka Jumma Mubarak

Shaban Ki Fazilat

Mahe shaban azmat wala mahina hai kiun ke Hazrat Muhammad SAW ny is mahin khsoosiyat sy kahair o barkat ki dua farmain hai.

Hazrat Anas RA farmate hai ke Hazoor SAW ne farmaya:

Jab Ramdan ka maheena ata to Rasool Allah SAW ye dua farmaya karte thay. ” Ay Allah hamare liyr Rajab aur Shaban mein barkat ata farma aur hamein Ramdan ke mahine tak pohncha.”

Jumma Ki Fazilat

Islam mai jumma ke din ko bohat fazilat hasil hai. Hazoor Nabi Kareem SAW ne jumma ke din ko eid ka din qarar diya hai. Jumma ke din jo bhi amal kia jata hai us ki bhi fazilat parh jati hai aur us main bohat zayda barkat ho jati hai.

Mah e Shaban Ka Wazifa

Aap ne ye amal is tarha karna hai ke, Shaban ke pehle jumma ko kisi bhi waqt 100 bar ye parhen.

” Lahaula wala quwwata illa billahil allayiul azeem”

Is ke bad apne 100 bar Allah ke 2 ism mubarak Ya-Maliku Ya-Razzaqu ka wird karna hai.

Ye amal karne ke bad ap ne Allah ke huzoor nihayat aajzi aur inkisari se dua mangni hai.

Wazifa Ke Mutaliq Zaroori Bat

Jab bhi ap koi wazifa karen to pure yaqeen ke sath karen. Agar ap shak ke sath wazifa karen ge to us ka koi asar nahi hoga.

Wazifa Karne se pehle kusch sadqa dena lazmi hota hai taa ke wazifa jald asar kar sake. iss ke ilawa jab ap wazifa karen to ap ki jaga aur kapron ka saaf aur pak hona lazmi hai.

Khawateen apne khas ayaam main koi bhi wazifa na karen balke bad main din pure kar len.

Leave a Comment