Anar Ke Fayde in Urdu – 13 Powerful Benefits of Pomegranate

admin

anar ke fayde in urdu

Anar ka zikar quran kareem mein aaya hai aur usay jannat ka phal bhi kaha jata hai. Lazeez aur khush zayega honay ke ilawa is mein kayi aisay ghizaiyat bakhash ajza hain jo usay dosray phalon se mumtaz batatay hain. Aa Ham apko anar ke fayde ke bare main detail se bateyn ge

Is mein jo shifai khoobiyan hain un ke baray mein maloomat aam nahi hain. Zail mein hum anar ke fayde par roshni dalain ge jin ki wajah se anar ke danay khana ya is ka juice peena be intahaa ifadiyat ka baais ho sakta hai :

Gurdon Ke Liye Anar Ke Fayde

Anar gurdon ko sehat mand rakhta hai. Aik nai tehqeeq ke mutabiq anar ka arq gurdon ko nuqsanaat se bachata hai aur zarrar rasan zahreeley madon se gurdon ko mehfooz rakhta hai .

Jigar Ki Hifazat

Anar Ke Fayde mein hai ke anar jigar ki hifazat karta hai aur jigar ka jo hissa kisi bemari ki wajah se kharab ho jata hai usay naye siray se tashkeel deta hai

Mudafti Nizam

Anar jisam ke mdafati nizaam ko taqatwar banata hai. Anar ke daano aur is ke juice mein bimarion se mehfooz rakhnay walay qudrati nizaam ko tawana karne walay Vitamin C ki qabil zikar miqdaar hoti hai jo jismani tawanai ke liye zaroori samjha jata hai lekin yeh ghizaiyat bakhash juzw bilkhushoos thanday mousamoo mein bohat taizi se zaya ho jata hai.

Jayyad anar mein allergy daur karne ki salahiyat hoti hai. Is phal mein aik jazo Polifenoles ka bhi hota hai jo un Bio Chemical tabdelion ko kam kar deta hai jin ka talluq mukhtalif Allergies se hota hai.

Dil Ki Bimariyan

Anar dil ki bimarion se bachata hai. Yeh jisam ki is salahiyat ko berhata hai jis ki madad se jisam Cholesterol ko aitdaal mein rakhta hai aur doranِ khoon mein shaamil honay walay Free Radicals ko tabah karta hai

Budhape Ke Liye

Anar burhapay ko talta hai. Is mein Anti Oxydents ki waafar miqdaar hoti hai. Free Radicals agar jis pemanay par jisam mein jazb hotay hain is mein anar ki pemaiesh ka darja 2860 hai.

Prostate Cancer

Anar khanay se prostate cancer ka khatrah kam ho jata hai. Aik reserch ke mutabiq anar ke daano ka juice aur pooray anar ka arq istemaal karne se sartani khaliyaat be jaan ho jatay hain. Isi terhan chaati ke sartaan ke bherne ka khatrah bhi ghatt jata hai

Jildi Sartaan

Journal of Dermatology mein shaya shuda report ke mutabiq anar khanay se jaldi sartaan ki do ahem aqsam se hifazat ho jati hai. Jald ke un sartaano ke naam Basal Cell Carcinoma aur Squamous Cell Carcinoma hain.

DNA ki Hifazt

Anar DNA ko tahaffuz faraham karta hai. is mein shamil Phytonutrients aur Anti Oxidants jisam ke jeneati mawaad se taamul kar ke un ko mehfooz rakhtay hain

Blood Pressure

Anar blood pressure ko normal had ke andar rakhta hai. ziyada muraghan khanon ki wajah se jin logon ka blood pressure mamool se ziyada rehta hai, yeh usay kam karta hai

Metabolic Syndrome

Anar Metabolic Syndrome ko baqaida banata hai. Is se khoon mein shakar ki satah mamool ki had mein rehti hai. insulin se hsasit behtar ho jati hai, yeh soozish ka muqaabla karta ghiza ke jazo badan ban’nay mein jo doosri rakawaten Metabolic Syndrome haail hoti hain, unhen daur karta hai.

Is kharabi ke baais motapa jarr pakarta hai aur baad mein yeh diabetes ka sabab bantaa hai. Mazkoorah baala asraat se bachao ke liye jo log apna jismani wazan kam karna chahtay hain, anar un ki madad karta hai

Mukhtalif Jaraseem Ka Khatma

Anar infection se bhi bachata hai. Anar ke danay aur is mein mojood chilkon ke arq ko istemaal karne se Gram Negative jaraseem ke khatmay ke liye jo duwaein istemaal ki jati hain un ki taseer barh jati hai. Is qisam ke bohat se jaraseem par aam Anti Biotic duwaein kargar nahi hoti hain

Bhoolne Ki Bimari

Anar bhoolnay ke marz yani alzaimar ke bherne ki raftaar ghata deta hai. Choohon par kiye gaye aik tajarbay mein yeh dekha gaya tha ke jin choohon mein is aarzay ki alamtain peda ki gayi theen, anar ke istemaal ke baad un ke dimagh mein numaya tor par Armyloidal Plaque kam jama hئwa aur unhon ne deegar aam choohon ke muqablay mein dimaghi sar garmion mein ziyada behtar kar kardagi dikhayi

Jodon Ka Dard

Jodon mein soozish aur dard ke aarzay mein bhi anar ko mufeed paaya gaya hai kyunkay is takleef se nijaat ke liye is mein Phytonutrients aur Polifenoles mojood hotay hain

Mazeed information ke liye hamara Youtube Channel aur Facebook Page visit Karen

Leave a Comment